Jiwandata ek hai
sam darshi bhagwan
jaisi jiski patrata
vaisa jiwan daan
tamas rajas sat gunvati
mata prakriti pradhan
jaisi janani bhavna
vaisi hi santan
----------------------
satyavati ki sadhana
bhismvrati ka tyag
jage jinke jatan se
bharat vansh ke bhag
dheer dhurandhar bhisma ka
shishya dhanurdhar veer
udit hua phir chandrama
andhakar ko cheer
-----------------------------
No comments:
Post a Comment